Jo Duhai De Raha Hai Koi Saudai Na Ho

jo duhai de raha hai koi saudai na ho

apne hi ghar mein kisi ne aag dahkai na ho

raste mein is se pahle kab tha itna azhdaham

jo tamasha ban raha hai wo tamashai na ho

jo mila nazren chura kar chal diya ab kya kahen

shahr mein rah kar kabhi itni shanasai na ho

apni hi aawaz par chaunke hain hum to bar bar

ai rafiqo bazm mein itni bhi tanhai na ho

main shua-e-mahr ka mara sahi lekin yahan

kaun hai yaro jo is suraj ka shaidai na ho

gung bhi hain dekh kar badle hue manzar yahan

aur aisa bhi nahin hum mein ki goyai na ho

main to apni zat ka ek reza-e-gum-gashta hun

wo mujhe DhunDega kya jo mera shaidai na ho

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Duhai De Raha Hai Koi Saudai Na Ho In English By Famous Poet Ameen Rahat Chugtai. Jo Duhai De Raha Hai Koi Saudai Na Ho is written by Ameen Rahat Chugtai. Read famous Poem Jo Duhai De Raha Hai Koi Saudai Na Ho for youth and Student by Ameen Rahat Chugtai. Free Download Jo Duhai De Raha Hai Koi Saudai Na Ho in PDF.