Akasr Raat Gae Tak Main ChaukhaT Par BaiTha Rahta Hun

akasr raat gae tak main chaukhaT par baiTha rahta hun

cigarette pita chand ko takta man mein bikta rahta hun

rack pe rakh kar bhul gaya tha us ke chehre aisi kitab

hath mein jab aa jati hai to pahron paDhta rahta hun

marmar ka patthar ban jati hai jab pure chand ki raat

apni nazron ki chhini se muraten ghaDta rahta hun

aaKHiri show se lauTne wale bhi ghaeb ho jate hain

main jaane kin taswiron mein kab tak khoya rahta hun

(718) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Akasr Raat Gae Tak Main ChaukhaT Par BaiTha Rahta Hun In English By Famous Poet Ameeq Hanafi. Akasr Raat Gae Tak Main ChaukhaT Par BaiTha Rahta Hun is written by Ameeq Hanafi. Read famous Poem Akasr Raat Gae Tak Main ChaukhaT Par BaiTha Rahta Hun for youth and Student by Ameeq Hanafi. Free Download Akasr Raat Gae Tak Main ChaukhaT Par BaiTha Rahta Hun in PDF.