Amiq ChheD Ghazal Gham Ki Intiha Kab Hai

'amiq' chheD ghazal gham ki intiha kab hai

ye malwe ki junun-KHez chaudhwin shab hai

mujhe shikayat-e-talKHi-e-zahar-e-gham kab hai

mere labon pe abhi kaif-e-shakkr-e-lab hai

lakir khinchti chali ja rahi hai ta-ba-jigar

farogh-e-mai hai ki mashq-e-jarahat-e-shab hai

ye mahwiyat hai ki roab-e-jamal hai tari

KHilaf-e-rasm-e-junun dil bahut muaddab hai

kabhi haram mein hai kafir to dair mein momin

na jaane kya dil-e-diwana tera mazhab hai

bahut muhaal tha warna ki dil fareb mein aae

kisi ke gham se gham-e-kaenat ki chhab hai

chaman mein phul khilati phire bahaar to kya

kisi ke band-e-qaba TuTne lagen tab hai

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Amiq ChheD Ghazal Gham Ki Intiha Kab Hai In English By Famous Poet Ameeq Hanafi. Amiq ChheD Ghazal Gham Ki Intiha Kab Hai is written by Ameeq Hanafi. Read famous Poem Amiq ChheD Ghazal Gham Ki Intiha Kab Hai for youth and Student by Ameeq Hanafi. Free Download Amiq ChheD Ghazal Gham Ki Intiha Kab Hai in PDF.