Bin Hawa Ke Hathon Mein Hai Lahre Jadu Wale Hain

bin hawa ke hathon mein hai lahre jadu wale hain

chandan se chikne shanon par machal uThe do kale hain

jangal ki ya bazaron ki dhul uDi hai swagat ko

hum ne ghar ke bahar jab bhi apne panw nikale hain

kaisa zamana aaya hai ye ulTi rit hai ulTi baat

phulon ko kanTe Daste hain jo in ke rakhwale hain

ghar ke dukhDe shahr ke gham aur des bides ki chintaen

in mein kuchh aawara kutte hain kuchh hum ne pale hain

ek usi ko dekh na pae warna shahr ki saDkon par

achchhi achchhi poshaken hain achchhi surat wale hain

raat mein dil ko kya sujhi hai us ke ganw ko chalne ki

jangal mein chite rahte hain rah mein naddi nale hain

donon ka milna mushkil hai donon hain majbur bahut

us ke panw mein mehndi lagi hai mere panw mein chhaale hain

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bin Hawa Ke Hathon Mein Hai Lahre Jadu Wale Hain In English By Famous Poet Ameeq Hanafi. Bin Hawa Ke Hathon Mein Hai Lahre Jadu Wale Hain is written by Ameeq Hanafi. Read famous Poem Bin Hawa Ke Hathon Mein Hai Lahre Jadu Wale Hain for youth and Student by Ameeq Hanafi. Free Download Bin Hawa Ke Hathon Mein Hai Lahre Jadu Wale Hain in PDF.