Hai Nur-e-KHuda Bhi Yahan Irfan-e-KHuda Bhi

hai nur-e-KHuda bhi yahan irfan-e-KHuda bhi

ye zat ki hai wadi-e-sina bhi hira bhi

us ban mein kiya karti hai tap meri ana bhi

is shahar mein hai kar-gah-e-arz-o-sama bhi

karta hun tawaf apna to milti hai nai rah

qibla bhi hai ye zat mera qibla-numa bhi

KHud-agahi o KHud-nigahi ka hai ye inam

aur jurm-e-shanasai-e-alam ki saza bhi

hota hai shab-o-roz tamasha sar-e-ehsas

jo dekhti rahti hai meri aankh dikha bhi

karti hai kamar-basta safar par bhi yahi zat

jab dur nikal jata hun deti hai sada bhi

zarre mein hai kaunain to kaunain mein zarra

kuchh hai tujhe aawara-e-aflak pata bhi

(831) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Nur-e-KHuda Bhi Yahan Irfan-e-KHuda Bhi In English By Famous Poet Ameeq Hanafi. Hai Nur-e-KHuda Bhi Yahan Irfan-e-KHuda Bhi is written by Ameeq Hanafi. Read famous Poem Hai Nur-e-KHuda Bhi Yahan Irfan-e-KHuda Bhi for youth and Student by Ameeq Hanafi. Free Download Hai Nur-e-KHuda Bhi Yahan Irfan-e-KHuda Bhi in PDF.