Ubaal

ye hanDi ubalne lagi

ye miTTi ki hanDi ubalne lagi hai

ye miTTi ki diwani hanDi ubalne lagi hai

hazaron baras se meri aatma ungh mein phans gai thi

jab insan do pattharon ko ragaD kar kuhan-sal suraj ki surKH aatma ko bulane laga tha

magar tez aanch aur bahut tez bu ne jhinjhoDa to ab aankh phaDe hue

dam-ba-KHud hai

ubalne lagin sabziyan phul phal gosht dalen anaj

abhi shorbe ke khadakne ki aawaz chhai hui thi

abhi sanp-chhatri lagae hue bhap nile KHalaon ki jaanib rawan hai

wo jis ki ziyafat ki tayyariyan thin kahan hai

meri aatma jag kar chiKHti hai

ye hanDi ubalne lagi hai

ye miTTi ki hanDi ubalne lagi hai

ye miTTi ki diwani hanDi ubalne lagi hai

(716) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ubaal In English By Famous Poet Ameeq Hanafi. Ubaal is written by Ameeq Hanafi. Read famous Poem Ubaal for youth and Student by Ameeq Hanafi. Free Download Ubaal in PDF.