Tum Aur Hum

tum badan ki sath ke tairak banna chahte the

tum the nazzaron ke sahil par tamasha-bin aur shauqin

tum pahunchna chahte the pairahan ke par

jild tak mahdud tha zauq-e-jamal

gosht tha maqsud-e-parwaz-e-KHayal

inkishaf-e-jism tha afkar-e-ali ka kamal

daman o band-e-qaba angiya dupaTTe painche

the tumhaari shaeri ke mashghale

aur tumhaare masale aur marhale

aur hum hain ruh ki ehsas ki gahraiyon ke ghota-KHor

zindagi mein aur hum mein raaz ab utne nahin

zindagi kya aur duniya kya hamare samne hain be-hijab

jild kya aur gosht kya aur jism kya

x-ray screen par hain haDDiyan tak be-libas

bar-ha dekhi hui chizon ko phir se dekhna

bar-ha bhogi hui chizon ko phir se bhogna

bhog kar KHush hona khuDhna, tilmilana sochna

sochna aur soch ke karan ko pichhe chhoD kar

napte phirna azal se ta-abad

soch ka sahra-e-na-paida-kanar

aarzu-e-did ke shaalon mein tum chalte rahe

did ke shoalon mein hum lipTe hue hain

tum parai aag mein jalte rahe

aur hum jalte hain apni aag mein

aur ab apne parae mein kahan hai koi bhed

ek hi aakash apne bazuon mein bhenchta hai

ek taKHt-al-arz chashma sab jaDon ko sinchta hai

ek hi shoala nason ko khinchta hai

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Aur Hum In English By Famous Poet Ameeq Hanafi. Tum Aur Hum is written by Ameeq Hanafi. Read famous Poem Tum Aur Hum for youth and Student by Ameeq Hanafi. Free Download Tum Aur Hum in PDF.