Chhup Jata Hai Phir Suraj Jis Waqt Nikalta Hai

chhup jata hai phir suraj jis waqt nikalta hai

koi in aankhon mein sari raat Tahalta hai

champai subhen pili do-pahren surmai shamen

din Dhalne se pahle kitne rang badalta hai

din mein dhupen ban kar jaane kaun sulagta tha

raat mein shabnam ban kar jaane kaun pighalta hai

KHamoshi ke naKHun se chhil jaya karte hain

koi phir in zaKHmon par aawazen malta hai

raat ugalta rahta hai wo ek baDa saya

chhoTe chhoTe sae jo har sham nigalta hai

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chhup Jata Hai Phir Suraj Jis Waqt Nikalta Hai In English By Famous Poet Ameer Imam. Chhup Jata Hai Phir Suraj Jis Waqt Nikalta Hai is written by Ameer Imam. Read famous Poem Chhup Jata Hai Phir Suraj Jis Waqt Nikalta Hai for youth and Student by Ameer Imam. Free Download Chhup Jata Hai Phir Suraj Jis Waqt Nikalta Hai in PDF.