Kandhon Se Zindagi Ko Utarne Nahin Diya

kandhon se zindagi ko utarne nahin diya

us maut ne kabhi mujhe marne nahin diya

puchha tha aaj mere tabassum ne ek sawal

koi jawab dida-e-tar ne nahin diya

tujh tak main apne aap se ho kar guzar gaya

rasta jo teri rah guzarne nahin diya

kitna ajib mera bikharna hai dosto

main ne kabhi jo KHud ko bikharne nahin diya

hai imtihan kaun sa sahra-e-zindagi

ab tak jo tere KHak-basar ne nahin diya

yaro 'amir' imam bhi ek aaftab tha

par us ko tirgi ne ubharne nahin diya

(1296) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kandhon Se Zindagi Ko Utarne Nahin Diya In English By Famous Poet Ameer Imam. Kandhon Se Zindagi Ko Utarne Nahin Diya is written by Ameer Imam. Read famous Poem Kandhon Se Zindagi Ko Utarne Nahin Diya for youth and Student by Ameer Imam. Free Download Kandhon Se Zindagi Ko Utarne Nahin Diya in PDF.