KHud Ko Har Aarzu Ke Us Par Kar Liya Hai

KHud ko har aarzu ke us par kar liya hai

hum ne ab us ka saya diwar kar liya hai

jati thi mere dil se jo tere aastan tak

duniya ne us gali mein bazar kar liya hai

de dad aa ke bahar shah-e-rag se KHun hamara

us ne jo apna chehra gulnar kar liya hai

bas chashm-e-KHun-fishan ko milte nahin hain aansu

warna tera murkkab tayyar kar liya hai

hai wajh-e-kaj-kulahi tauq-e-gulu hamara

zanjir-e-pa ko apni talwar kar liya hai

mahsus kar raha hun KHaron mein qaid KHushbu

aankhon ko teri jaanib ek bar kar liya hai

is bar wo bhi hum se inkar kar na paya

hum ne bhi ab ki us se iqrar kar liya hai

(1162) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Ko Har Aarzu Ke Us Par Kar Liya Hai In English By Famous Poet Ameer Imam. KHud Ko Har Aarzu Ke Us Par Kar Liya Hai is written by Ameer Imam. Read famous Poem KHud Ko Har Aarzu Ke Us Par Kar Liya Hai for youth and Student by Ameer Imam. Free Download KHud Ko Har Aarzu Ke Us Par Kar Liya Hai in PDF.