Baat Karne Mein To Jati Hai Mulaqat Ki Raat

baat karne mein to jati hai mulaqat ki raat

kya bari baat hai rah jao yahin raat ki raat

zarre afshan ke nahin kirmak-e-shab-tab se kam

hai wo zulf-e-araq-alud ki barsat ki raat

zahid us zulf phans jae to itna puchhun

kahiye kis tarah kaTi qibla-e-hajat ki raat

sham se subh talak chalte hain jam-e-mai-e-aish

KHub hoti hai basar ahl-e-KHarabaat ki raat

wasl chaha shab-e-mearaj to ye uzr kiya

hai ye allah o payambar ki mulaqat ki raat

hum musafir hain ye duniya hai haqiqat mein sara

hai tawaqquf hamein is ja to faqat raat ki raat

chal ke ab so raho baaten na banao sahib

wasl ki shab hai nahin harf-e-hikayat ki raat

lailatul-qadr hai waslat ki dua mang 'amir'

is se behtar hai kahan koi munajat ki raat

(1147) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Karne Mein To Jati Hai Mulaqat Ki Raat In English By Famous Poet Ameer Minai. Baat Karne Mein To Jati Hai Mulaqat Ki Raat is written by Ameer Minai. Read famous Poem Baat Karne Mein To Jati Hai Mulaqat Ki Raat for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Baat Karne Mein To Jati Hai Mulaqat Ki Raat in PDF.