Amir Lakh Idhar Se Udhar Zamana Hua

amir lakh idhar se udhar zamana hua

wo but wafa pe na aaya main be-wafa na hua

sar-e-niyaz ko tera hi aastana hua

sharab-KHana hua ya qimar-KHana hua

hua farogh jo mujh ko gham-e-zamana hua

paDa jo dagh jigar mein charagh-e-KHana hua

ummid ja ke nahin us gali se aane ki

ba-rang-e-umr mera nama-bar rawana hua

hazar shukr na zae hui meri kheti

ki barq o sail mein taqsim dana dana hua

qadam huzur ke aae mere nasib khule

jawab-e-qasr-e-sulaiman gharib-KHana hua

tere jamal ne zohra ko daur dikhlaya

tere jalal se mirriKH ka zamana hua

koi gaya dar-e-jaanan pe hum hue pamal

hamara sar na hua sang-e-astana hua

farogh-e-dil ka sabab ho gai bujhi jo hawas

sharar-e-kushta se raushan charagh-e-KHana hua

jab aai josh pe mere karim ki rahmat

gira jo aankh se aansu dur-e-yagana hua

hasad se zahr tan-e-asman mein phail gaya

jo apni kisht mein sarsabz koi dana hua

chune mahinon hi tinke gharib bulbul ne

magar nasib na do roz aashiyana hua

KHayal-e-zulf mein chhai ye tirgi shab-e-hijr

ki KHal-e-chehra-e-zaKHmi charagh-e-KHana hua

ye josh-e-girya hua mere said hone par

ki chashm-e-dam ke aansu se sabz dana hua

na puchh naz-o-niyaz us ke mere kab se hain

ye husn o ishq to ab hai use zamana hua

uThae sadme pe sadme to aabru pai

amir TuT ke dil gauhar-e-yagana hua

(1430) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Amir Lakh Idhar Se Udhar Zamana Hua In English By Famous Poet Ameer Minai. Amir Lakh Idhar Se Udhar Zamana Hua is written by Ameer Minai. Read famous Poem Amir Lakh Idhar Se Udhar Zamana Hua for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Amir Lakh Idhar Se Udhar Zamana Hua in PDF.