Dil Ko Tarz-e-nigah-e-yar Jatate Aae

dil ko tarz-e-nigah-e-yar jatate aae

tir bhi aae to be-par ki uDate aae

baadshahon ka hai darbar dar-e-pir-e-mughan

saikDon jate gae saikDon aate aae

chhup ke bhi aae mere ghar to wo darbanon ko

apni pazeb ki jhankar sunate aae

roz-e-mahshar jo bulae gae diwana-e-zulf

beDiyan pahne hue shor machate aae

kya kahenge koi mahshar mein jo puchhega 'amir'

kyun na bigDi hui baaton ko banate aae

(777) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Tarz-e-nigah-e-yar Jatate Aae In English By Famous Poet Ameer Minai. Dil Ko Tarz-e-nigah-e-yar Jatate Aae is written by Ameer Minai. Read famous Poem Dil Ko Tarz-e-nigah-e-yar Jatate Aae for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Dil Ko Tarz-e-nigah-e-yar Jatate Aae in PDF.