Firaq-e-yar Ne Bechain Mujhko Raat Bhar Rakkha

firaq-e-yar ne bechain mujh ko raat bhar rakkha

kabhi takiya idhar rakkha kabhi takiya idhar rakkha

shikast-e-dil ka baqi hum ne ghurbat mein asar rakha

likha ahl-e-watan ko KHat to ek gosha katar rakkha

barabar aaine ke bhi na samjhe qadr wo dil ki

ise zer-e-qadam rakkha use pesh-e-nazar rakkha

miTae dida-o-dil donon mere ashk-e-KHunin ne

ajab ye tifl abtar tha na ghar rakkha na dar rakkha

tumhaare sang-e-dar ka ek TukDa bhi jo hath aaya

aziz aisa kiya mar kar use chhati pe dhar rakkha

jinan mein sath apne kyun na le jaunga naseh ko

suluk aisa hi mere sath hai hazrat ne kar rakkha

na ki kis ne sifarish meri waqt-e-qatl qatil se

kaman ne hath joDe tegh ne qadmon pe sar rakkha

ghazab barse wo mere aate hi malum hota hai

jagah KHali jo pai yar ko ghairon ne bhar rakkha

baDa ehsan hai mere sar pe us ki laghzish-e-pa ka

ki is ne be-tahasha hath mere dosh par rakkha

zamin mein dana-e-gandum sadaf mein hum hue gauhar

hamare ijz ne har marka mein hum ko dar rakkha

tere har naqsh-e-pa ko rahguzar mein sajda-gah samjhe

jahan tu ne qadam rakkha wahan main ne bhi sar rakkha

amir achchha shagun-e-mai kiya saqi ki furqat mein

jo barsa abr-e-rahmat ja-e-mai shishon mein bhar rakkha

(1072) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Firaq-e-yar Ne Bechain Mujhko Raat Bhar Rakkha In English By Famous Poet Ameer Minai. Firaq-e-yar Ne Bechain Mujhko Raat Bhar Rakkha is written by Ameer Minai. Read famous Poem Firaq-e-yar Ne Bechain Mujhko Raat Bhar Rakkha for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Firaq-e-yar Ne Bechain Mujhko Raat Bhar Rakkha in PDF.