Hai KHamoshi Zulm-charKH-e-dew-paikar Ka Jawab

hai KHamoshi zulm-charKH-e-dew-paikar ka jawab

aadmi hota to hum dete barabar ka jawab

jo bagula dasht-e-ghurbat mein uTha samjha ye main

karti hai tamir diwani mere ghar ka jawab

sath KHanjar ke chalegi waqt-e-zabh apni zaban

jaan dene wale dete hain barabar ka jawab

sajda karta hun jo main Thokar lagata hai wo but

panw us ka baDh ke deta hai mere sar ka jawab

abr ke TukDe na uljhen meri mauj-e-ashk se

KHushk maghzon se hai mushkil misra-e-tar ka jawab

wo khincha tha main bhi khinch rahta to banti kis tarah

sar jhuka deta tha qatil tere KHanjar ka jawab

jite-ji mumkin nahin us shoKH ka KHat dekhna

baad mere aaega mere muqaddar ka jawab

shaiKH kahta hai barhaman ko barhaman us ko saKHt

kaba o but-KHana mein patthar hai patthar ka jawab

roz dikhlata hai gardun kaisi kaisi suraten

but-tarashi mein hai ye kafir bhi aazar ka jawab

har jagah qabr-e-gada takiye mein har ja gor-e-shah

ek ghar is shahr mein hai dusre ghar ka jawab

jalwa-gar hai nur-e-haq hone se yaktai 'amir'

saya bhi hota agar hota payambar ka jawab

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai KHamoshi Zulm-charKH-e-dew-paikar Ka Jawab In English By Famous Poet Ameer Minai. Hai KHamoshi Zulm-charKH-e-dew-paikar Ka Jawab is written by Ameer Minai. Read famous Poem Hai KHamoshi Zulm-charKH-e-dew-paikar Ka Jawab for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Hai KHamoshi Zulm-charKH-e-dew-paikar Ka Jawab in PDF.