Hans Ke Farmate Hain Wo Dekh Ke Haalat Meri

hans ke farmate hain wo dekh ke haalat meri

kyun tum aasan samajhte the mohabbat meri

baad marne ke bhi chhoDi na rifaqat meri

meri turbat se lagi baiThi hai hasrat meri

main ne aaghosh-e-tasawwur mein bhi khencha to kaha

pis gai pis gai bedard nazakat meri

aaina subh-e-shab-e-wasl jo dekha to kaha

dekh zalim ye thi sham ko surat meri

yar pahlu mein hai tanhai hai kah do nikle

aaj kyun dil mein chhupi baiThi hai hasrat meri

husn aur ishq ham-aghosh nazar aa jate

teri taswir mein khinch jati jo hairat meri

kis DhiTai se wo dil chhin ke kahte hain 'amir'

wo mera ghar hai rahe jis mein mohabbat meri

(894) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hans Ke Farmate Hain Wo Dekh Ke Haalat Meri In English By Famous Poet Ameer Minai. Hans Ke Farmate Hain Wo Dekh Ke Haalat Meri is written by Ameer Minai. Read famous Poem Hans Ke Farmate Hain Wo Dekh Ke Haalat Meri for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Hans Ke Farmate Hain Wo Dekh Ke Haalat Meri in PDF.