Jab Se Bulbul Tu Ne Do Tinke Liye

jab se bulbul tu ne do tinke liye

TuTti hain bijliyan in ke liye

hai jawani KHud jawani ka singar

sadgi gahna hai is sin ke liye

kaun virane mein dekhega bahaar

phul jangal mein khile kin ke liye

sari duniya ke hain wo mere siwa

main ne duniya chhoD di jin ke liye

baghban kaliyan hon halke rang ki

bhejni hai ek kam-sin ke liye

sab hasin hain zahidon ko na-pasand

ab koi hur aaegi in ke liye

wasl ka din aur itna muKHtasar

din gine jate the is din ke liye

subh ka sona jo hath aata 'amir'

bhejte tohfa moazzin ke liye

(1377) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Bulbul Tu Ne Do Tinke Liye In English By Famous Poet Ameer Minai. Jab Se Bulbul Tu Ne Do Tinke Liye is written by Ameer Minai. Read famous Poem Jab Se Bulbul Tu Ne Do Tinke Liye for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Jab Se Bulbul Tu Ne Do Tinke Liye in PDF.