Pahle To Mujhe Kaha Nikalo

pahle to mujhe kaha nikalo

phir bole gharib hai bula lo

be-dil rakhne se faeda kya

tum jaan se mujh ko mar Dalo

us ne bhi to dekhi hain ye aankhen

aankh aarasi par samajh ke Dalo

aaya hai wo mah bujha bhi do shama

parwanon ko bazm se nikalo

ghabra ke hum aae the su-e-hashr

yan pesh hai aur majra lo

takiye mein gaya to main pukara

shab tera hai jago sone walo

aur din pe 'amir' takiya kab tak

tum bhi to kuchh aap ko sambhaalo

(825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahle To Mujhe Kaha Nikalo In English By Famous Poet Ameer Minai. Pahle To Mujhe Kaha Nikalo is written by Ameer Minai. Read famous Poem Pahle To Mujhe Kaha Nikalo for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Pahle To Mujhe Kaha Nikalo in PDF.