Na Bewafai Ka Dar Tha Na Gham Judai Ka

na bewafai ka Dar tha na gham judai ka

maza mein kya kahun aaghaz-e-ashnai ka

kahan nahin hai tamasha teri KHudai ka

magar jo dekhne de roab kibriyai ka

wo na-tawan hun agar nabz ko hui jumbish

to saf joD juda ho gaya kalai ka

shab-e-visal bahut kam hai aasman se kaho

ki joD de koi TukDa shab-e-judai ka

ye josh-e-husn se tang aai hai qaba in ki

ki band band hai KHwahan girah-kushai ka

kaman hath se rakh said-gah-e-irfan mein

ki tir said hai yan dam-e-na-rasai ka

wo bad-nasib hun yar aae mere ghar to bane

simaT ke wasl ki shab til ruKH-e-judai ka

hazaron kafir o momin paDe hain sajde mein

buton ke ghar mein bhi saman hai KHudai ka

tamam ho gae hum pahle hi nigah mein haif

na raat wasl ki dekhi na din judai ka

nahin hai mohr lifafa pe KHat ke ai qasid

ye dagh hai meri qismat ki na-rasai ka

naqab Dal ke ai aaftab-e-hashr nikal

KHuda se Dar ye kahin din hai KHud-numai ka

nahin qarar ghaDi bhar kisi ke pahlu mein

ye zauq hai tere nawak ko dilrubai ka

mari taraf se koi ja ke kohkan se kahe

nahin nahin ye mahal zor-azmai ka

kaha jo main ne ki main KHak-e-rah hun tera

to bole hai abhi pindar KHud-numai ka

junun jo meri taraf ho wo jast-o-KHez karun

ki dil ho TuT ke TukDe shikasta-pai ka

'amir' rawayye apne nasib ko aisa

ki ho saped siyah abr na-rasai ka

(1116) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Bewafai Ka Dar Tha Na Gham Judai Ka In English By Famous Poet Ameer Minai. Na Bewafai Ka Dar Tha Na Gham Judai Ka is written by Ameer Minai. Read famous Poem Na Bewafai Ka Dar Tha Na Gham Judai Ka for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Na Bewafai Ka Dar Tha Na Gham Judai Ka in PDF.