Mujh Mast Ko Mai Ki Bu Bahut Hai

mujh mast ko mai ki bu bahut hai

diwane ko ek hu bahut hai

moti ki tarah jo ho KHuda-dad

thoDi si bhi aabru bahut hai

jate hain jo sabr-o-hosh jaen

mujh ko ai dard tu bahut hai

manind-e-kalim baDh na ai dil

ye dard ki guftugu bahut hai

be-kaif ho mai to KHum ke KHum kya

achchhi ho to ek subu bahut hai

kya wasl ki shab mein mushkilen hain

fursat kam aarzu bahut hai

manzur hai KHun-e-dil jo ai yas

apne liye aarzu bahut hai

ai nashtar-e-gham ho lakh tan-e-KHushk

tere dam ko lahu bahut hai

chheDe wo mizha to kyun main roun

aankhon mein KHalish ko mu bahut hai

ghunche ki tarah chaman mein saqi

apna hi mujhe subu bahut hai

kya gham hai 'amir' agar nahin mal

is waqt mein aabru bahut hai

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujh Mast Ko Mai Ki Bu Bahut Hai In English By Famous Poet Ameer Minai. Mujh Mast Ko Mai Ki Bu Bahut Hai is written by Ameer Minai. Read famous Poem Mujh Mast Ko Mai Ki Bu Bahut Hai for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Mujh Mast Ko Mai Ki Bu Bahut Hai in PDF.