Mere Bas Mein Ya To Ya-rab Wo Sitam-shiar Hota
mere bas mein ya to ya-rab wo sitam-shiar hota
ye na tha to kash dil par mujhe iKHtiyar hota
pas-e-marg kash yun hi mujhe wasl-e-yar hota
wo sar-e-mazar hota main tah-e-mazar hota
tera mai-kada salamat tere KHum ki KHair saqi
mera nashsha kyun utarta mujhe kyun KHumar hota
main hun na-murad aisa ki bilak ke yas roti
kahin pa ke aasra kuchh jo umid-war hota
nahin puchhta hai mujh ko koi phul is chaman mein
dil-e-dagh-dar hota to gale ka haar hota
wo maza diya taDap ne ki ye aarzu hai ya-rab
mere donon pahluon mein dil-e-be-qarar hota
dam-e-naza bhi jo wo but mujhe aa ke munh dikhata
to KHuda ke munh se itna na main sharmsar hota
na malak sawal karte na lahad fishaar deti
sar-e-rah-e-ku-e-qatil jo mera mazar hota
jo nigah ki thi zalim to phir aankh kyun churai
wahi tir kyun na mara jo jigar ke par hota
main zaban se tum ko sachcha kaho lakh bar kah dun
ise kya karun ki dil ko nahin e'tibar hota
meri KHak bhi lahad mein na rahi 'amir' baqi
unhen marne hi ka ab tak nahin e'tibar hota
(1221) Peoples Rate This