Main Ro Ke Aah Karunga Jahan Rahe Na Rahe

main ro ke aah karunga jahan rahe na rahe

zamin rahe na rahe aasman rahe na rahe

rahe wo jaan-e-jahan ye jahan rahe na rahe

makin ki KHair ho ya rab makan rahe na rahe

abhi mazar par ahbab fatiha paDh len

phir is qadar bhi hamara nishan rahe na rahe

KHuda ke waste kalma buton ka paDh zahid

phir iKHtiyar mein ghafil zaban rahe na rahe

KHizan to KHair se guzri chaman mein bulbul ki

bahaar aai hai ab aashiyan rahe na rahe

chala to hun pae izhaar-e-dard-e-dil dekhun

huzur-e-yar majal-e-bayan rahe na rahe

'amir' jama hain ahbab dard-e-dil kah le

phir iltifat-e-dil-e-dostan rahe na rahe

(1681) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Ro Ke Aah Karunga Jahan Rahe Na Rahe In English By Famous Poet Ameer Minai. Main Ro Ke Aah Karunga Jahan Rahe Na Rahe is written by Ameer Minai. Read famous Poem Main Ro Ke Aah Karunga Jahan Rahe Na Rahe for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Main Ro Ke Aah Karunga Jahan Rahe Na Rahe in PDF.