Kya Roke Qaza Ke War Tawiz

kya roke qaza ke war tawiz

qila hai na kuchh hisar tawiz

choTi mein hai mushk-bar tawiz

ya fitna-e-rozgar tawiz

donon ne na dard-e-dil miTaya

ganDe ka hai rishta-dar tawiz

kya nad-e-ali mein bhi asar hai

chaaron TukDe hain chaar tawiz

Darta hun na subh ho shab-e-wasl

hai mahr wo zar-nigar tawiz

hum ko bhi ho kuchh umid-e-taskin

khoe jo tap-e-KHayar tawiz

pattan ko jaD hamari pahunchi

gaDa tah-e-pa-e-yar tawiz

hajat nahin un ko nau-ratan ki

bazu pe hain panch chaar tawiz

khaTke wo na aae fatihe ko

dekha jo sar-e-mazar tawiz

pi jaenge ghol kar kise aap

hai naqsh na KHaksar tawiz

ai turk Talen balaen sar se

ek tegh ka KHat-e-hazar tawiz

Dar hai tumhein kanknon se lazim

laya to hai sada-kar tawiz

iksir ka nusKHa is ko samjhun

khoe jo tera ghubar tawiz

majma hai 'amir' ki lahad par

mele ka hai ishtihaar tawiz

(1578) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Roke Qaza Ke War Tawiz In English By Famous Poet Ameer Minai. Kya Roke Qaza Ke War Tawiz is written by Ameer Minai. Read famous Poem Kya Roke Qaza Ke War Tawiz for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Kya Roke Qaza Ke War Tawiz in PDF.