Kuchh Khaar Hi Nahin Mere Daman Ke Yar Hain
kuchh KHar hi nahin mere daman ke yar hain
gardan mein tauq bhi to laDakpan ke yar hain
sina ho kushtagan-e-mohabbat ka ya gala
donon ye tere KHanjar-e-ahan ke yar hain
KHatir hamari karta hai dair-o-haram mein kaun
hum to na shaiKH ke na barahman ke yar hain
kya puchhta hai mujh se nishan sail-o-barq ka
donon qadim se mere KHirman ke yar hain
kya garm hain ki kahte hain KHuban-e-lucknow
london ko jaen wo jo firangan ke yar hain
wo dushmani karen to karen iKHtiyar hai
hum to adu ke dost hain dushman ke yar hain
kuchh is chaman mein sabza-e-begana hum nahin
nargis ke dost lala-o-sausan ke yar hain
kanTe hain jitne wadi-e-ghurbat ke ai junun
sab aastin ke jeb ke daman ke yar hain
gum-gashtagi mein rah batata hai hum ko kaun
hai KHizr jin ka nam wo rahzan ke yar hain
chalte hain shauq-e-barq-e-tajalli mein kya hai KHauf
chite tamam wadi-e-aiman ke yar hain
piri mujhe chhuDati hai ahbab se 'amir'
dandan nahin ye mere laDakpan ke yar hain
(859) Peoples Rate This