Pila Saqiya Arghawani Sharab

pila saqiya arghawani sharab

ki piri mein de naujawani sharab

wo shoala hai saqi ki ranjak ki tarah

uDa deti hai na-tawani sharab

kahan baada-e-aish taqdir mein

piyun main to ho jae pani sharab

na laya hai shisha na jam-o-subu

pilata hai saqi zabani sharab

kahan aql-e-barna kahan aql-e-pir

nae se hai behtar purani sharab

mere chehra-e-zard ke aks se

hui saqiya zafrani sharab

hue mast dekha jo phulon ka rang

piyalon mein thi arghawani sharab

kahan chashma-e-KHizr kaise KHizar

KHizar hai meri zindagani sharab

KHizar hun agar main to ja kar piyun

sar-e-chashma-e-zindagani sharab

gulistan hai phulon se kya lal lal

chale saqiya arghawani sharab

ajab saqiya gandumi rang hai

ki partaw se banti hai dhani sharab

rahe taq par parsai 'amir'

pilae jo wo yar-e-jaani sharab

(926) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pila Saqiya Arghawani Sharab In English By Famous Poet Ameer Minai. Pila Saqiya Arghawani Sharab is written by Ameer Minai. Read famous Poem Pila Saqiya Arghawani Sharab for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Pila Saqiya Arghawani Sharab in PDF.