Puchha Na Jaega Jo Watan Se Nikal Gaya

puchha na jaega jo watan se nikal gaya

be-kar hai jo dant dahan se nikal gaya

Thahren kabhi kajon mein na dam bhar bhi rast-rau

aaya kaman mein tir to san se nikal gaya

KHilat pahan ke aane ki thi ghar mein aarzu

ye hausla bhi gor-o-kafan se nikal gaya

pahlu mein mere dil ko na ai dard kar talash

muddat hui gharib watan se nikal gaya

murghan-e-bagh tum ko mubarak ho sair-e-gul

kanTa tha ek main so chaman se nikal gaya

kya rang teri zulf ki bu ne uDa diya

kafur ho ke mushk KHutan se nikal gaya

pyasa hun is qadar ki mera dil jo gir paDa

pani ubal ke chah-e-zaqan se nikal gaya

sara jahan nam ke pichhe tabah hai

insan kiya aqiq-e-yaman se nikal gaya

kanTon ne bhi na daman-e-gulchin pakaD liya

bulbul ko zabh kar ke chaman se nikal gaya

kya shauq tha jo yaad sag-e-yar ne kiya

har ustuKHan taDap ke badan se nikal gaya

ai sabza rang-e-KHat bhi bana ab to bosa de

begana tha jo sabza chaman se nikal gaya

manzur ishq ko jo hua auj-e-husn par

qumri ka nala sarw-e-chaman se nikal gaya

madd-e-nazar rahi hamein aisi raza-e-dost

kaTi zaban jo shikwa dahan se nikal gaya

taus ne dikhae jo apne badan ke dagh

rota hua sahab chaman se nikal gaya

sahra mein jab hui mujhe KHush-chashmon ki talash

koson main aahuwan-e-KHutan se nikal gaya

KHanjar khincha jo myan se chamka miyan-e-saf

jauhar khule jo mard watan se nikal gaya

mein sher paDh ke bazm se kiya uTh gaya 'amir'

bulbul chahak ke sehn-e-chaman se nikal gaya

(1121) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Puchha Na Jaega Jo Watan Se Nikal Gaya In English By Famous Poet Ameer Minai. Puchha Na Jaega Jo Watan Se Nikal Gaya is written by Ameer Minai. Read famous Poem Puchha Na Jaega Jo Watan Se Nikal Gaya for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Puchha Na Jaega Jo Watan Se Nikal Gaya in PDF.