Qibla-e-dil Kaba-e-jaan Aur Hai

qibla-e-dil kaba-e-jaan aur hai

sajda-gah-e-ahl-e-irfan aur hai

ho ke KHush kaTwate hain apne gale

aashiqon ki id-e-qurban aur hai

roz-o-shab yan ek si hai raushni

dil ke daghon ka charaghan aur hai

KHal dikhlati hai phulon ki bahaar

bulbulo apna gulistan aur hai

qaid mein aaram aazadi wabaal

hum giraftaron ka zindan aur hai

bahr-e-ulfat mein nahin kashti ka kaam

nuh se kah do ye tufan aur hai

kis ko andesha hai barq o sail se

apna KHirman ka nigahban aur hai

dard wo dil mein wo sine par hai dagh

jis ka marham jis ka darman aur hai

kaba-ru mehrab-e-abru ai 'amir'

apni taat apna iman aur hai

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qibla-e-dil Kaba-e-jaan Aur Hai In English By Famous Poet Ameer Minai. Qibla-e-dil Kaba-e-jaan Aur Hai is written by Ameer Minai. Read famous Poem Qibla-e-dil Kaba-e-jaan Aur Hai for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Qibla-e-dil Kaba-e-jaan Aur Hai in PDF.