Aankhen Khuli Hui Hain To Manzar Bhi Aaega

aankhen khuli hui hain to manzar bhi aaega

kandhon pe tere sar hai to patthar bhi aaega

har sham ek masala ghar bhar ke waste

bachcha ba-zid hai chand ko chhu kar bhi aaega

ek din sununga apni samaat pe aahaTen

chupke se mere dil mein koi Dar bhi aaega

tahrir kar raha hai abhi haal-e-tishnagan

phir is ke baad wo sar-e-mimbar bhi aaega

hathon mein mere parcham-e-aghaz-e-kar-e-KHair

meri hatheliyon pe mera sar bhi aaega

main kab se muntazir hun sar-e-rahguzar-e-shab

jaise ki koi nur ka paikar bhi aaega

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhen Khuli Hui Hain To Manzar Bhi Aaega In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Aankhen Khuli Hui Hain To Manzar Bhi Aaega is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Aankhen Khuli Hui Hain To Manzar Bhi Aaega for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Aankhen Khuli Hui Hain To Manzar Bhi Aaega in PDF.