Har Rahguzar Mein Kahkashan ChhoD Jaunga

har rahguzar mein kahkashan chhoD jaunga

zinda hun zindagi ke nishan chhoD jaunga

main bhi to aazmaunga us ke KHulus ko

us ke labon pe apni fughan chhoD jaunga

meri tarah use bhi koi justuju rahe

az-rah-e-ehtiyat guman chhoD jaunga

mera bhi aur koi nahin hai tere siwa

ai sham-e-gham tujhe main kahan chhoD jaunga

raushan rahunga ban ke main ek shola-e-nawa

sahra ke aas-pas azan chhoD jaunga

phir aa ke bas gae hain barabar ke ghar mein log

ab phir 'amir' main ye makan chhoD jaunga

(1024) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Rahguzar Mein Kahkashan ChhoD Jaunga In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Har Rahguzar Mein Kahkashan ChhoD Jaunga is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Har Rahguzar Mein Kahkashan ChhoD Jaunga for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Har Rahguzar Mein Kahkashan ChhoD Jaunga in PDF.