Har Gam Hadsa Hai Thahar Jaiye Janab

har gam hadsa hai Thahar jaiye janab

rasta agar ho yaad to ghar jaiye janab

zinda haqiqaton ke talatum hain samne

KHwabon ki kashtiyon se utar jaiye janab

inkar ki salib hun sachchaiyon ka zahr

mujh se mile baghair guzar jaiye janab

din ka safar to kaT gaya suraj ke sath sath

ab shab ki anjuman mein bikhar jaiye janab

koi chura ke le gaya sadiyon ka e'tiqad

mimbar ki siDhiyon se utar jaiye janab

(1126) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Gam Hadsa Hai Thahar Jaiye Janab In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Har Gam Hadsa Hai Thahar Jaiye Janab is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Har Gam Hadsa Hai Thahar Jaiye Janab for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Har Gam Hadsa Hai Thahar Jaiye Janab in PDF.