Har Ek Hath Mein Patthar Dikhai Deta Hai

har ek hath mein patthar dikhai deta hai

ye zaKHm ghar se nikal kar dikhai deta hai

suna hai ab bhi mere hath ki lakiron mein

najumiyon ko muqaddar dikhai deta hai

ab inkisar bhi shamil hai waza mein us ki

use bhi ab koi ham-sar dikhai deta hai

gira na mujh ko mere KHwab ki bulandi se

yahan se mujh ko mera ghar dikhai deta hai

jahan jahan bhi hai nahr-e-furaat ka imkan

wahin yazid ka lashkar dikhai deta hai

KHuda ke shahr mein phir koi sangsar hua

jise bhi dekhiye patthar dikhai deta hai

'amir' kis ko bataoge kaun manega

sarab hai jo samundar dikhai deta hai

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Hath Mein Patthar Dikhai Deta Hai In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Har Ek Hath Mein Patthar Dikhai Deta Hai is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Har Ek Hath Mein Patthar Dikhai Deta Hai for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Har Ek Hath Mein Patthar Dikhai Deta Hai in PDF.