Naqsh Pani Pe Bana Ho Jaise

naqsh pani pe bana ho jaise

zindagi mauj-e-bala ho jaise

mujh se bach bach ke chali hai duniya

mere nazdik KHuda ho jaise

koi tahrir mukammal na hui

mujh se har lafz KHafa ho jaise

kis qadar shahr mein sannaTa hai

ab ke koi na bacha ho jaise

is tarah puj rahi hai duniya

koi mujh se bhi baDa ho jaise

rah milti hai andheron mein mujhe

koi masruf-e-dua ho jaise

mujh ko aksar ye hua hai mahsus

koi kuchh puchh raha ho jaise

ghar se is tarah nikal aae 'amir'

koi dushman na raha ho jaise

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naqsh Pani Pe Bana Ho Jaise In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Naqsh Pani Pe Bana Ho Jaise is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Naqsh Pani Pe Bana Ho Jaise for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Naqsh Pani Pe Bana Ho Jaise in PDF.