Nazar Aane Se Pahle Dar Raha Hun

nazar aane se pahle Dar raha hun

ki har manzar ka pas-manzar raha hun

mujhe hona paDega reza reza

main sar se panw tak patthar raha hun

kisi ko kyun main ye ezaz baKHshunga

main KHud apni hifazat kar raha hun

mujhi ko sruKH-ru hone ka haq hai

ki main apne lahu mein tar raha hun

mere ghar mein to koi bhi nahin hai

KHuda jaane main kis se Dar raha hun

main kya jaanun gharon ka haal kya hai

main sari zindagi bahar raha hun

talluq hai isi basti se mera

hamesha se magar bach kar raha hun

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Aane Se Pahle Dar Raha Hun In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Nazar Aane Se Pahle Dar Raha Hun is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Nazar Aane Se Pahle Dar Raha Hun for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Nazar Aane Se Pahle Dar Raha Hun in PDF.