Pain Har Ek Rah-guzar Par Udasiyan

pain har ek rah-guzar par udasiyan

nikli hui hain kab se safar par udasiyan

KHwabida shahr jagne wala hai lauT aao

baiThi hui hain sham se ghar par udasiyan

main KHauf se larazta raha paDh nahin saka

phaili hui thin ek KHabar par udasiyan

suraj ke hath sabz qabaon tak aa gae

ab hain yahan har ek shajar par udasiyan

apne bhi KHatt-o-KHal nigahon mein ab nahin

is tarah chha gai hain nazar par udasiyan

phaila raha hai kaun kabhi sochta hun main

KHwabon ke ek ek nagar par udasiyan

sab log ban gae hain agar ajnabi to kya

chhoD aaengi mujhe mere dar par udasiyan

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pain Har Ek Rah-guzar Par Udasiyan In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Pain Har Ek Rah-guzar Par Udasiyan is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Pain Har Ek Rah-guzar Par Udasiyan for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Pain Har Ek Rah-guzar Par Udasiyan in PDF.