Ban Gae Dil Ke Fasane Kya Kya

ban gae dil ke fasane kya kya

khul gae raaz na jaane kya kya

kaun tha mere alawa us ka

us ne DhunDe the Thikane kya kya

rahmat-e-ishq ne baKHshe mujh ko

us ki yaadon ke KHazane kya kya

aaj rah rah ke mujhe yaad aae

us ke andaz purane kya kya

raqs karti hui yaaden un ki

aur dil gae tarane kya kya

tera andaz nirala sab se

tir to ek nishane kya kya

aarzu meri wahi hai lekin

us ko aate hain bahane kya kya

raaz-e-dil lakh chhupaya lekin

kah diya us ki ada ne kya kya

dil ne to dil hi ki mani 'mita'

aql deti rahi tane kya kya

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ban Gae Dil Ke Fasane Kya Kya In English By Famous Poet Ameeta Parsuram ‘Meeta’. Ban Gae Dil Ke Fasane Kya Kya is written by Ameeta Parsuram ‘Meeta’. Read famous Poem Ban Gae Dil Ke Fasane Kya Kya for youth and Student by Ameeta Parsuram ‘Meeta’. Free Download Ban Gae Dil Ke Fasane Kya Kya in PDF.