Shiddat-e-shauq Se Afsane To Ho Jate Hain

shiddat-e-shauq se afsane to ho jate hain

phir na jaane wahi aashiq kahan kho jate hain

mujh se irshad ye hota hai ki samjhun un ko

aur phir bhiD mein duniya ki wo kho jate hain

dard jab zabt ki har had se guzar jata hai

KHwab tanhai ke aaghosh mein so jate hain

bas yunhi kahte hain wo mere hain mere honge

aur ek pal mein kisi aur ke ho jate hain

hum to paband-e-wafa pahle bhi the aaj bhi hain

aap hi fasle le aae to lo jate hain

koi tadbir na taqdir se lena-dena

bas yunhi faisle jo hone hain ho jate hain

kuchh to ehsas-e-mohabbat se huin nam aankhen

kuchh teri yaad ke baadal bhi bhigo jate hain

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shiddat-e-shauq Se Afsane To Ho Jate Hain In English By Famous Poet Ameeta Parsuram ‘Meeta’. Shiddat-e-shauq Se Afsane To Ho Jate Hain is written by Ameeta Parsuram ‘Meeta’. Read famous Poem Shiddat-e-shauq Se Afsane To Ho Jate Hain for youth and Student by Ameeta Parsuram ‘Meeta’. Free Download Shiddat-e-shauq Se Afsane To Ho Jate Hain in PDF.