Miras-e-be-baha Bhi Bachai Na Ja Saki

miras-e-be-baha bhi bachai na ja saki

ek zillat-e-wafa thi uThai na ja saki

wadon ki raat aisi ghani thi siyah thi

qindil-e-e'tibar bujhai na ja saki

chaha tha tum pe warenge lafzon ki kaenat

ye daulat-e-suKHan bhi kamai na ja saki

wo sahar tha ki rang bhi be-rang the tamam

taswir-e-yar hum se banai na ja saki

hum madrasan-e-ishq ke wo honhaar tifl

hum se kitab-e-aql uThai na ja saki

wo tharthari thi jaan-e-suKHan tere ru-ba-ru

tujh par kahi ghazal bhi sunai na ja saki

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Miras-e-be-baha Bhi Bachai Na Ja Saki In English By Famous Poet Amir Hamza Saqib. Miras-e-be-baha Bhi Bachai Na Ja Saki is written by Amir Hamza Saqib. Read famous Poem Miras-e-be-baha Bhi Bachai Na Ja Saki for youth and Student by Amir Hamza Saqib. Free Download Miras-e-be-baha Bhi Bachai Na Ja Saki in PDF.