Tere KHayal Ke Jab Shamiyane Lagte Hain

tere KHayal ke jab shamiyane lagte hain

suKHan ke panw mere laDkhaDane lagte hain

jo ek dast-e-burida sawad-e-shauq mein hai

alam uThae hue us ke shane lagte hain

main dasht-e-hu ki taraf jab uDan bharta hun

teri sada ke shajar phir bulane lagte hain

KHabar bhi hai tujhe is daftar-e-mohabbat ko

jalane jalne mein kya kya zamane lagte hain

ye gard hai meri aankhon mein kin zamanon ki

nae libas bhi ab to purane lagte hain

tumhaare mewa-e-lab ko nigah se chhute hi

ajib lazzat-e-nayab pane lagte hain

jo sansanata hai kufa o nainwa ka KHayal

gulu-e-jaan ki taraf tir aane lagte hain

(961) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere KHayal Ke Jab Shamiyane Lagte Hain In English By Famous Poet Amir Hamza Saqib. Tere KHayal Ke Jab Shamiyane Lagte Hain is written by Amir Hamza Saqib. Read famous Poem Tere KHayal Ke Jab Shamiyane Lagte Hain for youth and Student by Amir Hamza Saqib. Free Download Tere KHayal Ke Jab Shamiyane Lagte Hain in PDF.