Ab To Lafzon Ke Taqazon Ka Bharosa Na Raha

ab to lafzon ke taqazon ka bharosa na raha

ek siwa tarz-e-KHamoshi ke asasa na raha

aaj nadida sitaron ne qabaen baKHshin

aasman tera badan ab to barahna na raha

kitne sadiyon ki thakan tu ne sameTi hai zamin

phir bhi chehra tera is haal mein utra na raha

jism-e-ashufta ne sailab sambhaale kitne

haal kyun aisa hua hath mein qatra na raha

ai shab-e-tira-badan ye to pareshani hai

teri shah-rag ka lahu aankh mein zinda na raha

muntashir ho gae aiwan-e-tafakkur 'amir'

yani arshani-e-imkan ka zina na raha

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab To Lafzon Ke Taqazon Ka Bharosa Na Raha In English By Famous Poet Amir Nazar. Ab To Lafzon Ke Taqazon Ka Bharosa Na Raha is written by Amir Nazar. Read famous Poem Ab To Lafzon Ke Taqazon Ka Bharosa Na Raha for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Ab To Lafzon Ke Taqazon Ka Bharosa Na Raha in PDF.