Bosida Sahi Zeb-e-qaba Tak Nahin Aati

bosida sahi zeb-e-qaba tak nahin aati

be-pairahan-e-jaan ko haya tak nahin aati

aaina ajal ka yun tah-e-KHak paDa hai

marqad ki fasilon se ziya tak nahin aati

gum-karda-e-idrak mein paiwast jabinen

dar-chashm-e-yaqin bu-e-wafa tak nahin aati

sahra ki jabinon pe ho shadabi to kaise

in shoalon pe shabnam ki rida tak nahin aati

dil rifat-e-dastar ki qamat pe magan hai

be-tabi-e-manzil kaf-e-pa tak nahin aati

hangama-e-auqat bhi hai raqs-e-fusun bhi

imkan ki chaukhaT pe sada tak nahin aati

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bosida Sahi Zeb-e-qaba Tak Nahin Aati In English By Famous Poet Amir Nazar. Bosida Sahi Zeb-e-qaba Tak Nahin Aati is written by Amir Nazar. Read famous Poem Bosida Sahi Zeb-e-qaba Tak Nahin Aati for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Bosida Sahi Zeb-e-qaba Tak Nahin Aati in PDF.