Chshme-e-be-kaif Mein Karinda-e-manzar Na Raha

chshme-e-be-kaif mein karinda-e-manzar na raha

tishna-lab KHwab raha surKH samundar na raha

tirgi rang-e-tilismat ko oDhe aai

marhala ye bhi dabe KHauf ke bahar na raha

ajnabiyyat ka tamasha na ho kaise uryan

dida-e-shiddat-e-ehsas barabar na raha

koi lamha to sukut-e-shab-e-gham Thahre bhi

wadi-e-surKH mein ab dard ka lashkar na raha

tishnagi zor-e-talab-tab se bol uThi hai

chand qatre hi sahi koi shanawar na raha

thi shikan lamha-e-maujud ki peshani par

phir bhi mayus qad-e-pa-e-payambar na raha

ek bhi bund ki qurbani bahut thi 'amir'

koi aasar-e-hayat abr-e-ufuq par na raha

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chshme-e-be-kaif Mein Karinda-e-manzar Na Raha In English By Famous Poet Amir Nazar. Chshme-e-be-kaif Mein Karinda-e-manzar Na Raha is written by Amir Nazar. Read famous Poem Chshme-e-be-kaif Mein Karinda-e-manzar Na Raha for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Chshme-e-be-kaif Mein Karinda-e-manzar Na Raha in PDF.