Darpesh To Hain Dida-e-hairan Hazaron

darpesh to hain dida-e-hairan hazaron

suraj ka badan tere nigahban hazaron

mayus nahin hain dar-e-zulmat ki fasilen

mana ki munawwar hue aiwan hazaron

khulta hi raha zer-e-nazar rang-e-tamasha

nuqte se tarashe gae imkan hazaron

kab tak main jhaTakta rahunga KHar-e-barahna

daman se hain chaspan gul-e-bohtan hazaron

diwar-e-gham-e-jaan bhi teri KHair nahin hai

mismar hue gumbad-e-paiman hazaron

jab dast-e-tamazat ne kiya ret ko gulbun

dar-chashm utar aae bayaban hazaron

ek shab ke sitaron se nahin thi meri nisbat

'amir' abhi tabinda hain pahchan hazaron

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darpesh To Hain Dida-e-hairan Hazaron In English By Famous Poet Amir Nazar. Darpesh To Hain Dida-e-hairan Hazaron is written by Amir Nazar. Read famous Poem Darpesh To Hain Dida-e-hairan Hazaron for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Darpesh To Hain Dida-e-hairan Hazaron in PDF.