Darun-e-jism Ki Diwar Se Ubharti Hai

darun-e-jism ki diwar se ubharti hai

koi lakir hai jo TuTti bikharti hai

main intishaar ki kuchh aur talKHiyan pi lun

zaban-e-shahr nae zaiqon se Darti hai

falak ke darmiyan apni sada karen mahfuz

ki har dariche pe aawaz ja ke marti hai

koi to sarhad-e-KHamosh toD sakta tha

sukut-e-sham yahan tah-ba-tah utarti hai

wo ek shua-e-barahna hai shab ke zine par

so meri aankh bhi is par kahan Thaharti hai

nawah-e-zist ka suraj to Dhal gaya 'amir'

tamiz-e-KHak magar ab bhi raqs karti hai

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darun-e-jism Ki Diwar Se Ubharti Hai In English By Famous Poet Amir Nazar. Darun-e-jism Ki Diwar Se Ubharti Hai is written by Amir Nazar. Read famous Poem Darun-e-jism Ki Diwar Se Ubharti Hai for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Darun-e-jism Ki Diwar Se Ubharti Hai in PDF.