Dasht Ke KHema-e-dariya Mein Makin Koi Tha

dasht ke KHema-e-dariya mein makin koi tha

tishnagi tere tamashe mein kahin koi tha

zindagi jama-e-taskin mein raKHshanda thi

dur tak halqa-e-daman mein nahin koi tha

kitni rahon ka safar dida-e-iman ne kiya

qabil-e-did safar-bar yahin koi tha

waqt se manzar-e-saffak tarasha na gaya

dida-e-tar mein tere gosha-nashin koi tha

shola-e-fahm tahi-dast bhi hota kaise

mauj-e-idrak ki shah-e-rag ke qarin koi tha

qufl darwaza-e-chahat ka na khola tu ne

tere darbar mein daryuza-jabin koi tha

qatra-e-KHun ki tabish pe shafaq hairan hai

phir hatheli pe liye sham-e-yaqin koi tha

donon aalam ko nikhaara hai zamin par 'amir'

aasman par tha koi zer-e-zamin koi tha

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht Ke KHema-e-dariya Mein Makin Koi Tha In English By Famous Poet Amir Nazar. Dasht Ke KHema-e-dariya Mein Makin Koi Tha is written by Amir Nazar. Read famous Poem Dasht Ke KHema-e-dariya Mein Makin Koi Tha for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Dasht Ke KHema-e-dariya Mein Makin Koi Tha in PDF.