Fishaar-e-tirah-shabi Se Sahar Nikal Aae

fishaar-e-tirah-shabi se sahar nikal aae

siyah ret pe koi shajar nikal aae

main apni zat ki diwar par hun mahw-e-qalam

bhale hi surat-e-mehrab-o-dar nikal aae

shikasta KHwab ke reze zamin-e-wahshat se

barahnagi ki qaba oDh kar nikal aae

mere guman ke dipak na jal sake shab-bhar

pas-e-yaqin jo jale beshtar nikal aae

nigah-e-shisha-e-hasrat mein qaid ho jate

ye aur baat ki hum waqt par nikal aae

main sang-e-yas pe tahrir kar raha tha kuchh

ki lafz chand baDe mo'atabar nikal aae

siyah raat ki taswir par shikan se abhi

ajab nahin hai ki 'amir' nazar nikal aae

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fishaar-e-tirah-shabi Se Sahar Nikal Aae In English By Famous Poet Amir Nazar. Fishaar-e-tirah-shabi Se Sahar Nikal Aae is written by Amir Nazar. Read famous Poem Fishaar-e-tirah-shabi Se Sahar Nikal Aae for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Fishaar-e-tirah-shabi Se Sahar Nikal Aae in PDF.