Lams-o-yaqin Apna Kahan Pesh-o-pas Mein Tha

lams-o-yaqin apna kahan pesh-o-pas mein tha

to phir ye kaisa josh sada-e-jaras mein tha

zarron ke intishaar ne mashkuk kar diya

yun uqda-e-wajud bhi mizan-e-KHas mein tha

tha jism ibtida se aziyyat ki qaid mein

kyun ghaza-e-KHyal munawwar qafas mein tha

sakit zamin ke jism pe hangama-e-sada

yun lashkar-e-hayat rawan be-nafas mein tha

qirtas-e-zat par tere 'amir' jo khil uTha

wo nuqta-e-uruj kahan tere bas mein tha

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lams-o-yaqin Apna Kahan Pesh-o-pas Mein Tha In English By Famous Poet Amir Nazar. Lams-o-yaqin Apna Kahan Pesh-o-pas Mein Tha is written by Amir Nazar. Read famous Poem Lams-o-yaqin Apna Kahan Pesh-o-pas Mein Tha for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Lams-o-yaqin Apna Kahan Pesh-o-pas Mein Tha in PDF.