Kuchh Sulagte Hue KHwabon Ki Farawani Hai

kuchh sulagte hue KHwabon ki farawani hai

shahr-e-ehsas mein aainda ki tabani hai

saat-e-sham ka darwaza pighal jaega

chashm-e-umnid mein wo shola-e-imkani hai

jism par apne bhi poshak sambhaale rakhiye

sina-e-dasht pe utri shab-e-uryani hai

kab talak TuTti sanson pe sadaen rakhun

halqa-e-zist ki zanjir bhi layani hai

ab kahan ja ke ye zardab nazar Thahregi

dur tak phaili hui sarhad-e-virani hai

lauh-e-be-rang pe to aks-e-KHudi raushan hai

paikar-e-KHak ke chehre pe pareshani hai

tar-ba-tar ho gae haalat ke chehre 'amir'

ahl-e-daman-e-KHirad par baDi hairani hai

(997) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Sulagte Hue KHwabon Ki Farawani Hai In English By Famous Poet Amir Nazar. Kuchh Sulagte Hue KHwabon Ki Farawani Hai is written by Amir Nazar. Read famous Poem Kuchh Sulagte Hue KHwabon Ki Farawani Hai for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Kuchh Sulagte Hue KHwabon Ki Farawani Hai in PDF.