Khula Hai Tere Badan Ka Bhi Istiara Kuchh

khula hai tere badan ka bhi istiara kuchh

bayan-e-harf-o-nawa pairahan tumhaara kuchh

ghubar-e-gard mein gum tha sahar ka minara

shafaq ke sath hua phir bhi aashkara kuchh

tilsim-e-shab ki fasilon ko toD Dalega

sutun-e-waqt pe bujhta hua sitara kuchh

sukut-e-sham ka manzar badalne wala hai

meri nigah ka hai aks para para kuchh

nishan-e-zist abhi kaise raushni pae

ki tirgi ka muqaddar mein hai ijara kuchh

KHabar thi shisha-e-hairan pe baal aaega

junun ke darmiyan chehre ko yun utara kuchh

yaqin ke baam se 'amir' dikhai deta hai

guman ki rakh mein poshida hai sharara kuchh

(963) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khula Hai Tere Badan Ka Bhi Istiara Kuchh In English By Famous Poet Amir Nazar. Khula Hai Tere Badan Ka Bhi Istiara Kuchh is written by Amir Nazar. Read famous Poem Khula Hai Tere Badan Ka Bhi Istiara Kuchh for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Khula Hai Tere Badan Ka Bhi Istiara Kuchh in PDF.