KHema-e-jaan Ko Jo Dekhun To Sharar-bar Lage

KHema-e-jaan ko jo dekhun to sharar-bar lage

tar-e-shabnam bhi yahan shoalon ka bazar lage

ek hasrat pas-e-dahliz-e-ana baiThi rahi

koi to aa ke ruka ho dar-o-diwar lage

chashm-e-pur-ab mein bahti thi siyahi shab ki

dhup ka raqs mujhe aur giran-bar lage

kya hua manzar-e-maujud ki peshani ko

zard patton ki tarah saya-e-ashjar lage

meri wahshat ka lahu chaT chuki hai duniya

ab tamasha-e-KHirad surat-e-azar lage

mera chehra hai kisi qabr ka katba 'amir'

dil ki aawaz bhi ab shor-e-azadar lage

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHema-e-jaan Ko Jo Dekhun To Sharar-bar Lage In English By Famous Poet Amir Nazar. KHema-e-jaan Ko Jo Dekhun To Sharar-bar Lage is written by Amir Nazar. Read famous Poem KHema-e-jaan Ko Jo Dekhun To Sharar-bar Lage for youth and Student by Amir Nazar. Free Download KHema-e-jaan Ko Jo Dekhun To Sharar-bar Lage in PDF.