KHamoshiyon Ko Aalam-e-aswat Par Kabhi

KHamoshiyon ko aalam-e-aswat par kabhi

phenka gaya tha shor-e-hikayat par kabhi

kyun mere iKHtiyar se bahar nikal gain

aankhen thin apni aks-e-mazafat par kabhi

aur us ke baad did ka manzar simaT gaya

zahir hua tha shoala KHarabaat par kabhi

tu meri dastaras mein rahega yaqin hai

duniya nahin sahi to samawat par kabhi

aks-e-KHudi ka jama pahan kar nikal gaya

ubhra jo naqsh ru-e-KHayalat par kabhi

'amir' ab intishaar ki parchhaiyan tamam

tha lamha-e-sukun makanat par kabhi

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHamoshiyon Ko Aalam-e-aswat Par Kabhi In English By Famous Poet Amir Nazar. KHamoshiyon Ko Aalam-e-aswat Par Kabhi is written by Amir Nazar. Read famous Poem KHamoshiyon Ko Aalam-e-aswat Par Kabhi for youth and Student by Amir Nazar. Free Download KHamoshiyon Ko Aalam-e-aswat Par Kabhi in PDF.